Waqt Maanga Tha, Wida Mili
Na jaanta tha main usse, na vo mujhe pahchaanti thi,
Ek message se shuru hui, ek anjaani si kahaani thi...
Replies deta raha main, routinely, be-dili se,
Kab dil mein utar gayi vo, pata hi na chala mujhe.
Phir dheere dheere... dheere dheere...
Dil ne kuch maanga,
Izhar kar diya, usne haan bhi keh diya,
Waade hue, baatein huin,
Raatein choti lagti thi,
Wo bhi pyaar karti thi tab...
Jab waqt tha uske paas, tab main tha uske khaas.
Phir aaya vo waqt...
Jab messages ka jawab late aane laga,
Jab "busy hoon" ek aadat ban gayi,
Aur main, main roz ladhta raha,
"Baat karo, thoda waqt do" yahi dohraata raha.
Samjhaata raha... roz... baar baar...
Jaise koi tooti deewar ko haath se thame rakhe,
Girne se bachane ki koshish mein,
Khud girta raha.
Vo tang aa gayi meri zaroorat se,
Aur usne keh diya "Breakup."
Breakup yane sab kthm?
Main kuch bol na saka...
Kyunki itni jaldi khatam hua sab,
Ki samajh hi nahi aaya
Tha kya jo khatam hua?
Vo chali gayi apni taraf se,
Main khada raha apni jagah,
Haath mein sirf wo khaalipan liye
Jo tab milta hai jab pyaar sach hota hai,
Aur jaana ek tarafdaar hota hai.
"Mohabbat mein harna bura nahi hota,
bura tab hota hai jab samajh bhi na aaye
ki lad kis baat ke liye rahe the hum..."
๐
https://t.me/Wave_Wizard โญ๏ธ